Confidence Kaise Badhaye
Kai
logo me confidence ki bohot kami rehti he, usi karan unko talent hone ke bavjud
bhi wo apna talent nahi dikha pate. Koi confidence ke abhav ke karan stage par
bolne se darta hai. Confidence ke kami ke karan koi ladki se bat karne ki
himmat nahi juta pata. Padhiye ye kuch khas tips aur impress kare logoko apne
confidence se. Chaliye Jante hai ki Confidence Kaise Badhaye asaan bhasha me.
Apne nakaratmak vicaroko pahchane
Apne nakaratmak vichar hi apne confidence ya
atmavishwas ko kam karte hai. In nakartmak vicharo me jyada iss prakar ke
vichar aate hai, “Mai aisa nahi kar sakta hu ya Mai aisa nahi kar
paunga”, “Mai kuch bhi nahi hu”, “Agar mai aisa karta hu to ye sahi hoga
ya galat”, “log kya kahenge, kya sochenge, ye kaise kare”. (Confidence Kaise
Badhaye).
Aise alag alag prakar ke maan mai bahut sawal aate hai, jis
ke karan khudka atmavishwas kam ho jata hai. Ye hamesha yad rakho jo talent
aapme hai, dusre kisi me nahi. Aap khudko mahatwa dena start kare. Baki duniya
apne aap importance dene lagegi. Khud me badlav lana bohot jaruri hai.
Sakaratmak vichar matlab positive thoughts jo ki
bohot important hai, usse aapki life badal jayegi. Din ki shurwat sakartmak
vicharo se shuru kare. Isse hamara 90% atmavishwas badh jata hai. Pahale to
nakaratmak vicharo ko sakartmak vicharo me badale, jaise ki “Mai ye kar sakta
hu”, “Sab log mari baat sunenge”, “Aaj ka din mera bahut aacha jayega”, aisi
sakaratmak vicharo se agar aap din ki shurwat karte ho to para din aacha jata
hai.
Ek din ye prayog kar ke dekhiye, aap khud hi man
jaoge, ki is me kya jadu hai. (Confidence Kaise Badhaye).
Sakaratmak network banaye rakhe
Apne sathi, maitra pariwar me apni taraf se
hamesa vichara ko unke samne rakhe, isse unke sath aacha communicton badh jata
hai aur sakartmak vicharo ki bhi adala badali hoti hai.
Apne sathi ya mitra pariwar mai kai nakaratma
vicharo wale logo se thoda dur rahe queki unka sangat se apne sakartmak vicharo
pe bura asar padata hai, issliye hamesa sakartmak vichar ke mitra pariwar ya
sathi ke hi network me rahe.
Apne pratibha ko pahachane
Har koi aacha hai, isliye apne undar ke pratibha
ko jane. Yah sab apne kala, sangit, lekhan, nrutya ke bare mai hai. Jis karan
ham apne hi undar ke pratibha ko aachhi tarah jan kar apne pratibha ko jankar
apna atmavishwas badha sakte hai.
Apne aap par garva kare
Aap apni kaushalya aur pratibha par garva mahasus
karna chahiye. Iss karan se aap apna atmaviswas badha sakte hai. Khudake ke
pratibha ko janiye. Jaise ki, “me iss tanav ka puri tarah samna kar sakta hu”,
aise sakaratmak vicharo se aur khudpar garva karne se apna atmaviswas badh jata
hai.
Muskuraye aur aaine mai dekhe
Muskurayke aur aaina mai dekhne se hamara 100%
atmaviswas badh jata hai.Musakarake aaina mai dekhne se hame pata chalta hai ki
hamare sakartmak vicharose hamara atmavishwas badh gaya hai. Issi karan hame
hamare chehare par khushi dikhti hai aur hamara atmvishwas bad jata hai.
Sabse mahatwapurn baat “Khud par bharosa rakhe”
isse hamara atmaviswas badha kar hame aachi aur khushi bhari jindagi deta hai.
Aapko ye article kaise laga niche comment me
likhiye.
No comments:
Post a Comment