Saturday, April 30, 2016

Share Market Se Paise Kaise Kamaye Share Bazar

Share Market Se Paise Kaise Kamaye Share Bazar

Share Market Se Paise Kaise Kamaye Share Bazar. Share kisi company ka hissa hota hai jise company dwara jari kiya jaat hai. Is hisse ko aap paise dekar khareed sakte hain aur iskay badle main company apko jitne share aapne khareede hain unka certificate jaari karti hai. Ab company ke share ki keemat ghati bhadi rehti hai. Is hisab se yadi ek saal baad company ke share ki kimat pehle ki kimat se 50 Rs. badh gai to jitne share aapne khareeden hain us hisab se aapko un share ko bechane par fayada ho jaata hai. Kabhi kabhi company ke share gir bhi jaate hain. Aise sthiti mein apne share nahi bechen aur unke badhne ka intezaar karen. Company ke share kabhi bhi beche jaa sakte hain. Confidence Kaise Badhaye
                                          Share Market Se Paise Kaise Kamaye Share 

                                                Share ko khareedne ka tarika
Share ko khareedne ya bechne ke liye yani share ka kaam karne ke liye ek demate account ki zaroorat hoti hai aur phir apke saare shareo ka vyavsaay apke is demat account ke dwara hi hota hia. Is account mein aapke dwara khareede aur beche gaye sabhi shareo ka lekha jokha hota hai.  Isliye sabse pehle demat account khulwana zaoori hai. Demat account ko khulwane ke liye aap kisi bhi share broker yani dalal ke paas chale jaayen. Woh aapka PAN cad dekhkar aapka demat account khol dega. Ab aap apne naam se share ko kareed aur bech sakenge. Share Market Se Paise Kaise Kamaye.

Share ko khareedne ka tarika

Share ko khareedne ke liye aap ushi dalal par jaayen jis se aapne demat account khulwaya hai. Share market badhta aur girta rehta hai. Jab share bazaar gir raha ho tab aapko shareon ko kharidana chahiye. Is say apko share saste bhav mein mil jaayenge. Dhyan rakhen ki share hamesha girte bazzra main kharidna chahiye aur uthte huay bazar mein bechana chahiye. Share Market Se Paise Kaise Kamaye.

Kab hota hai share bazar ka kaam

Share bazaar ka kam saptah mein 5 din somvaar se shukravaar ko hota hai. Share bazaar subah 9 baje khul jaata hai aur shaam ko 3 bajkar 15 minute par band ho jaata hai. Bhaarat mein do stock exchange hain jahan se saare share bazar ko niyantrit kiya jaata hai. Yeh hain National Stock Exchange (NSE) aur Bombay Stock Exchange (BSE). Share ka kaam karne se pehle share bazaar mein prachilit kuch shabdon ko janna bhi zaroori hai. Yeh shabd hain Low yani us din ke nichle star ka share ka maan, High yani us din ke uchtam star ka share ka maan, Volume yani shareon ki sankhya, Bid yani share kharedane ki sankhya, Bid quantity yani share khareedane ke liye uplabdh shareon ki sankhya. Share Market Se Paise Kaise Kamaye.

Share Bazaar se roz kaise kamayen paisa

Share bazar se aap raoz bhi paisa kama sakte hain par yeh kaam thoda sa  jokhim purna ho sakta hai. Iskay liye aapke paas nivesh ke liye itna paisa bhi hona chahiye jise aap tatkal nivesh kar sakte hain. Isamy apko roz subah share khareed kar roz shaam ko usay bechana hota hai. Aap dalal ke pass jaayenge aur ussay poochencge ki subah bazaar khulne par share ka kya bhav hai aur shaam tak kuan sa share badh sakta hai. Maan lijiye usnay ABC company ka share bataya ki uski kimat 20 Rs. hai. Ab apne us company ke 5000 share kahreed liye jinki kul kimat 20 Rs. prati share ke hisab se 1 lakh ho gayi. Share Market Se Paise Kaise Kamaye.
Ab aap shaam ko dekhte hain ki woh share 21 Rs. ke ho gaye hain aur aap saare share shaam ko bech dete hain to apko 1 Rs. prati share ke hisab se 5000 Rs. ka fayada ho gaya. Lekin agar share 1 Rs. na badhkar 1 Rs. gir jaata to apko 5000 Rs. ka ghata bhi ho sakta tha. Aise mein Ya to aap share bechkar ghata uthayen ya phir 1 lakh Rs. nivesh karke share ke badhne ka intazaar karen kyonki har share ko khareedne par uska paisa shaam ko bharna hi hota hai. Isliye is tarah ke share se paisa kamane mein thodi si savdhani rakhni padti hai. Lekin jo jaankar hain who is tarah share khareed kar aur bechkar roz hi munafa kamate hain. Yeh share bazar se jaldi aur roz paisa kamanay ki vidhi hai.
Related Terms. share market tips in hindi, share market in hindi, share market news in hindi, share bazar in hindi. share market hindi, stock market in hindi, share market information in hindi, share market tips in hindi language. share market ki jankari in hindi, stock market news in hindi, stock market tips in hindi, seyar bazar.
Apko ye article kaisa laga niche comment me jarur likhiye.



Wednesday, April 27, 2016

Confidence Kaise Badhaye




Confidence Kaise Badhaye

Confidence Kaise Badhaye
Kai logo me confidence ki bohot kami rehti he, usi karan unko talent hone ke bavjud bhi wo apna talent nahi dikha pate. Koi confidence ke abhav ke karan stage par bolne se darta hai. Confidence ke kami ke karan koi ladki se bat karne ki himmat nahi juta pata. Padhiye ye kuch khas tips aur impress kare logoko apne confidence se. Chaliye Jante hai ki Confidence Kaise Badhaye asaan bhasha me.


Apne nakaratmak vicaroko pahchane

Apne nakaratmak vichar hi apne confidence ya atmavishwas ko kam karte hai. In nakartmak vicharo me jyada iss prakar ke vichar aate hai, “Mai aisa nahi kar sakta hu ya Mai aisa nahi kar paunga”, “Mai kuch bhi nahi hu”, “Agar mai aisa karta hu to ye sahi hoga ya galat”, “log kya kahenge, kya sochenge, ye kaise kare”. (Confidence Kaise Badhaye).
Aise alag alag prakar ke maan mai bahut sawal aate hai, jis ke karan khudka atmavishwas kam ho jata hai. Ye hamesha yad rakho jo talent aapme hai, dusre kisi me nahi. Aap khudko mahatwa dena start kare. Baki duniya apne aap importance dene lagegi. Khud me badlav lana bohot jaruri hai.

Sakaratmak vichar matlab positive thoughts jo ki bohot important hai, usse aapki life badal jayegi. Din ki shurwat sakartmak vicharo se shuru kare. Isse hamara 90% atmavishwas badh jata hai. Pahale to nakaratmak vicharo ko sakartmak vicharo me badale, jaise ki “Mai ye kar sakta hu”, “Sab log mari baat sunenge”, “Aaj ka din mera bahut aacha jayega”, aisi sakaratmak vicharo se agar aap din ki shurwat karte ho to para din aacha jata hai.
Ek din ye prayog kar ke dekhiye, aap khud hi man jaoge, ki is me kya jadu hai. (Confidence Kaise Badhaye).

Sakaratmak network banaye rakhe

Apne sathi, maitra pariwar me apni taraf se hamesa vichara ko unke samne rakhe, isse unke sath aacha communicton badh jata hai aur sakartmak vicharo ki bhi adala badali hoti hai.
Apne sathi ya mitra pariwar mai kai nakaratma vicharo wale logo se thoda dur rahe queki unka sangat se apne sakartmak vicharo pe bura asar padata hai, issliye hamesa sakartmak vichar ke mitra pariwar ya sathi ke hi network me rahe.

Apne pratibha ko pahachane

Har koi aacha hai, isliye apne undar ke pratibha ko jane. Yah sab apne kala, sangit, lekhan, nrutya ke bare mai hai. Jis karan ham apne hi undar ke pratibha ko aachhi tarah jan kar apne pratibha ko jankar apna atmavishwas badha sakte hai.

Apne aap par garva kare

Aap apni kaushalya aur pratibha par garva mahasus karna chahiye. Iss karan se aap apna atmaviswas badha sakte hai. Khudake ke pratibha ko janiye. Jaise ki, “me iss tanav ka puri tarah samna kar sakta hu”, aise sakaratmak vicharo se aur khudpar garva karne se apna atmaviswas badh jata hai.

Muskuraye aur aaine mai dekhe

Muskurayke aur aaina mai dekhne se hamara 100% atmaviswas badh jata hai.Musakarake aaina mai dekhne se hame pata chalta hai ki hamare sakartmak vicharose hamara atmavishwas badh gaya hai. Issi karan hame hamare chehare par khushi dikhti hai aur hamara atmvishwas bad jata hai.
Sabse mahatwapurn baat “Khud par bharosa rakhe” isse hamara atmaviswas badha kar hame aachi aur khushi bhari jindagi deta hai.
Aapko ye article kaise laga niche comment me likhiye.